Monday, 19 March 2012

Nabi Akram Sallallaho Alaihi Wasalam ka Hulya Mubark

Qad Mubarak: Hind bin Hala Razi Allah Tala Anh farmaty han k Ap Sallallaho Alaihi Wasalam ka Qad mayana pan k sath kisi qadar lambai ki mayaal th (shumail e tirmazi)
Rang Mubarak: Hazrat Abu Hurrera R.A farmaty han k ma na Ap Sallallaho Alaihi Wasalam sa ziada khobsorat kisi ko nai dekhagoya Ap Sallallaho Alaihi Wasalam k Rukhsar Mubarak ma soraj tyer raha ho(safai or chamak ki waja sa) jab Ap Sallallaho Alaihi Wasalam muskuraty to dewaroo pa us ki chamak parti (Madaraj u Nabowah)
Sar Mubarak: Ap Sallallaho Alaihi Wasalam Ka Sar Mubarak aetdal k sath or dosry logon k mukabla ma qadry bara tha
Badan Mubarak: Na Ap Sallallaho Alaihi Wasalam itny moty thy k dakhny ma nagawar malom hon or na itny patly thy k bhady malom hon, balky darmiana jism neez ghuta hwa badan jo qowat or shuja'at ki daleel h (Mafhom az Shumail e Tirmazi)
Darhi Mubarak: Hazrat Hind ubai Hala R.A farmaty han k Ap Sallallaho Alaihi Wasalam ki Darhi Mubaraka bhapor or gunjan balo wali thi (Shumail e Tirmazi)
Chahra Mubarak: Hazrat Ali R.A farmaty han k Ap Sallallaho Alaihi Wasalam ka Chahra Mubarak qadry golai liy howy tha
(yani na bilkol laanmba na bilkol gool balky darmiani halat par tha) (shumail e Tirmazi)
Dast Mubarak: Hazrat Ans R.A bayan karty han k ma na kabi reshmi kapra ya khalis resham yo koi or naram chiz asi nahi choi (touch ki) jo Ap Sallallaho Alaihi Wasalam ki Ba Barkat Hatheli sa ziada naram ho (Bukhari 503/1)

0 comments:

Post a Comment